Matí 11
11
1Jab Yisúʻ apne bárah shágirdoṉ ko hukm de chuká, to aisá húá ki waháṉ se chalá gayá, táki un ke shahroṉ meṉ taʻlím de aur manádí kare.
2Aur Yúhanná ne qaidḳháne meṉ Masíh ke kámoṉ ká hál sunkar, apne shágirdoṉ kí maʻrifat us se puchhwá bhejá, 3ki Ánewálá tú hí hai, yá ham dúsre kí ráh dekheṉ? 4Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Jo kuchh tum sunte aur dekhte ho, jákar Yúhanná se bayán kar do, 5ki andhe dekhte, aur laṉgṛe chalte phirte haiṉ, koṛhí pák sáf kiye játe, aur bahre sunte haiṉ, aur murde zinda kiye játe haiṉ, aur garíboṉ ko ḳhushḳhabarí sunáí játí haí; 6aur mubárak wuh hai, jo mere sabab se ṭhokar na kháe. 7Jab wuh rawána ho liye, to Yisúʻ ne Yúhanná kí bábat logoṉ se kahná shurúʻ kiyá, ki Tum biyábán meṉ kyá dekhne gaye the? kyá hawá se hilte húe sarkanḍe ko? 8To phir kyá dekhne gaye the? Kyá mihín kapṛe pahine húe shaḳhs ko? Dekho, jo mihín kapṛe pahinte haiṉ, wuh bádsháhoṉ ke gharoṉ meṉ hote haiṉ. 9To phir kyúṉ gaye the? Kyá ek nabí ke dekhne ko? Háṉ, maiṉ tum se kahtá húṉ, balki nabí se baṛe ko. 10Yih wuhí hai, jis kí bábat likhá hai, ki
Dekh, maiṉ apná paigambar tere áge bhejtá húṉ,
Jo terí ráh tere áge taiyár karegá.
11Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki jo ʻauratoṉ se paidá húe haíṉ, un meṉ Yúhanná baptisma denewále se koí baṛá nahíṉ húá, lekin jo ásmán kí bádsháhat meṉ chhoṭá hai, wuh us se baṛá hai. 12Aur Yúhanná baptisma denewále ke dinoṉ se ab tak, ásmán kí bádsháhat par zor hotá rahá hai, aur zoráwar use chhín lete haiṉ. 13Kyúṉki sab nabíoṉ aur Tauret ne Yúhanná tak nubuwwat ki. 14Aur cháho to máno, Eliyyáh jo ánewálá thá, yihí hai. 15Jis ke sunne ke kán hoṉ, wuh sun le. 16Pas is zamáne ke logoṉ ko maiṉ kis se tashbíh dúṉ? Wuh un laṛkoṉ kí mánind haiṉ, jo bázároṉ meṉ baiṭhe húe apne sáthiyoṉ ko pukár kar kahte haiṉ, 17ki Ham ne tumháre liye báṉslí bajáí, aur tum na náche; ham ne mátam kiyá, aur tum ne chhátí na pítí. 18Kyúṉki Yúhanná na khátá áyá, na pítá; aur wuh kahte haiṉ, ki Us meṉ badrúh hai. 19Ibn i Ádam khátá pítá áyá, aur wuh kahte haiṉ; Dekho, kháú aur sharábí ádmí, mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ká yár! Magar hikmat apne kámoṉ se rást sábit húí.
20Wuh us waqt un shahroṉ ko malámat karne lagá, jin meṉ us ke aksar muʻjize záhir húe the, kyúṉki unhoṉ ne tauba na kí thí; ki 21Ai Ḳhurázín, tujh par afsos! Ai Baitsaidá, tujh par afsos! kyúṉki jo muʻjize tum meṉ záhir húe, agar wuh Súr aur Saidá meṉ záhir hote, to ṭáṭ oṛhkar aur ḳhák meṉ baiṭhkar, kab ke tauba kar lete. 22Magar maiṉ tum se kahtá húṉ, ki ʻadálat ke din Súr aur Saidá ká hál tumháre hál se ziyáda bardásht ke láiq hogá. 23Aur ai Kafarnahúm, kyá tú ásmán tak baland kiyá jáegá? tú to ʻálam i arwáh meṉ utregá, kyúṉki jo muʻjize tujh meṉ záhir húe, agar Sadom meṉ hote, to áj tak qáim rahtá. 24Magar maiṉ tum se kahtá húṉ, ki ʻadálat ke din Sadom ke ʻiláqe ká hál tere hál se ziyáda bardásht ke láiq hogá.
25Us waqt Yisúʻ ne kahá; Ai Báp, ásmán aur zamín ke Ḳhudáwand, maiṉ terí hamd kartá húṉ, ki tú ne yih báteṉ dánáoṉ aur ʻaqlmandoṉ se chhipáíṉ, aur bachchoṉ par záhir kíṉ. 26Háṉ, ai Báp; kyúṉki aisá hí tujhe pasand áyá. 27Mere Báp kí taraf se sab kuchh mujhe sauṉpá gayá, aur koí Beṭe ko nahíṉ jántá, siwá Báp ke; aur koí Báp ko nahíṉ jántá, siwá Beṭe ke, aur us ke, jis par Beṭá use záhir karná cháhe. 28Ai mihnat uṭhánewálo, aur bojh se dabe húe logo, sab mere pás áo, maiṉ tumheṉ árám dúṉgá. 29Merá júá apne úpar uṭhá lo, aur mujh se síkho; kyúṉki maiṉ halím húṉ, aur dil ká firotan; to tumhárí jáneṉ árám páeṉgi. 30Kyúṉki merá júá muláim hai, aur merá bojh halká.
Currently Selected:
Matí 11: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)