Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Jo kuchh tum sunte aur dekhte ho, jákar Yúhanná se bayán kar do, ki andhe dekhte, aur laṉgṛe chalte phirte haiṉ, koṛhí pák sáf kiye játe, aur bahre sunte haiṉ, aur murde zinda kiye játe haiṉ, aur garíboṉ ko ḳhushḳhabarí sunáí játí haí