YouVersion Logo
Search Icon

Romíoṉ 10

10
1Ai bháiyo, mere dil kí árzú, aur un ke liye Ḳhudá se merí duʻá yih hai, ki wuh naját páeṉ. 2Kyúṉki maiṉ un ká gawáh húṉ, ki wuh Ḳhudá ke báre meṉ gairat to rakhté haiṉ, magar samajh ke sáth nahíṉ. 3Is liye ki wuh Ḳhudá kí rástbází se náwáqif hokar, aur apní rástbází qáim karne kí koshish karke, Ḳhudá kí rástbází ke tábiʻ na húe. 4Kyúṉki har ek ímán lánewále kí rástbází ke liye Masíh sharíʻat ká anjám hai. 5Chunáṉchi Músá ne yih likhá hai, ki Jo shaḳhs us rástbází par ʻamal kartá hai jo sharíʻat se hai, wuh usí kí wajh se zinda rahegá. 6Magar jo rástbází ímán se hai, wuh yúṉ kahtí hai, ki Tú apne dil meṉ yih na kah, ki Ásmán par kaun chaṛhegá? (yaʻní Masíh ke utár láne ko:) 7yá, Gahráo meṉ kaun utregá? (yaʻní Masíh ko murdoṉ meṉ se jilákar úpar láne ko). 8Balki kyá kahtí hai? yih, ki Kalám tere nazdík hai, balki tere muṉh aur tere dil meṉ hai: yih wuhí ímán ká kalám hai, jis kí ham manádí karte haiṉ; 9ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai. 11Chunáṉchi kitáb i muqaddas yih kahtí hai, ki Jo koí us par ímán láegá, wuh sharminda na hogá. 12Kyúṉki Yahúdíoṉ aur Yúnáníoṉ meṉ kuchh farq nahíṉ; is liye ki wuhí sab ká Ḳhudáwand hai, aur apne sab duʻá máṉgnewáloṉ ke liye faiyáz hai. 13Kyúṉki Jo koí Ḳhudáwand ká nám legá, naját páegá. 14Magar jis par wuh ímán nahíṉ láe, us se kyúṉkar duʻá máṉgeṉ? aur jis ká zikr unhoṉ ne nahíṉ suná, us par ímán kyúṉkar láeṉ? aur bagair manádí karnewále ke kyúṉkar suneṉ? 15Aur jab tak wuh bheje na jáeṉ, manádí kyúṉkar kareṉ? Chunáṉchi likhá hai, ki Kyá hí ḳhushnumá haiṉ un ke qadam, jo achchhí chízoṉ kí ḳhushḳhabarí dete haiṉ!
16Lekin sab ne is ḳhushḳhabarí par kán na dhará. Chunáṉchi Yashaʻyáh kahtá hai, ki Ai Ḳhudáwand, hamáre paigám ká kis ne yaqín kiyá hai? 17Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se. 18Lekin maiṉ kahtá húṉ; Kyá unhoṉ ne nahíṉ suná? Beshakk suná: chunáṉchi likhá hai, ki
Un kí áwáz tamám rú e zamín par,
Aur un kí báteṉ dunyá kí hadd tak pahuṉchíṉ.
19Phir maiṉ kahtá húṉ; Kyá Isráíl wáqif na thá? Awwal to Músá kahtá hai, ki
Maiṉ un se tum ko gairat diláúṉgá jo qaum hí nahíṉ,
Ek nádán qaum se tum ko gussa diláúṉgá.
20Phir Yashaʻyáh baṛá diler hokar yih kahtá hai, ki
Jinhoṉ ne mujhe nahíṉ ḍhúṉḍhá, unhoṉ ne mujhe pá liyá;
Jinhoṉ ne mujh se nahíṉ púchhá, un par maiṉ záhir ho gayá.
21Lekin Isráíl ke haqq meṉ yúṉ kahtá hai, ki Maiṉ din bhar ek náfarmán aur hujjatí ummat kí taraf apne háth baṛháe rahá.

Currently Selected:

Romíoṉ 10: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in