YouVersion Logo
Search Icon

Aʻmál 3

3
1Patras aur Yúhanná duʻá ke waqt, yaʻní tísre pahar, haikal ko já rahe the. 2Aur log ek janam ke laṉgṛe ko lá rahe the, jis ko har roz haikal ke us darwáze par biṭhá dete the, jo Ḳhúbsúrat kahlátá hai, táki haikal meṉ jánewáloṉ se bhíkh máṉge. 3Jab us ne Patras aur Yúhanná ko haikal meṉ játe dekhá, to un se bhíkh máṉgí. 4Patras aur Yúhanná ne us par gaur se nazar kí, aur Patras ne kahá, ki Hamárí taraf dekh. 5Wuh un se kuchh milne kí ummed par un kí taraf mutawajjih húá. 6Patras ne kahá, ki Chándí soná to mere pás hai nahíṉ; magar jo mere pás hai, wuh tujhe diye detá húṉ: Yisúʻ Masíh Násarí ke nám se chal phir. 7Aur us ká dahiná háth pakaṛke us ko uṭháyá: aur usí dam us ke páṉw aur ṭaḳhne mazbút ho gaye. 8Aur wuh kúdkar khaṛá ho gayá, aur chalne phirne lagá; aur chaltá aur kúdtá, aur Ḳhudá kí hamd kartá húá un ke sáth haikal meṉ gayá. 9Aur sab logoṉ ne use chalte phirte, aur Ḳhudá kí hamd karte dekhkar, 10us ko pahcháná ki yih wuhí hai, jo haikal ke Ḳhúbsúrat Darwáze par baiṭhá bhíkh máṉgá kartá thá; aur us májare se jo us par wáqiʻ húá thá bahut dang aur hairán húe.
11Jab wuh Patras aur Yúhanná ko pakṛe húe thá, to sab log bahut hairán hokar us barámade kí taraf un ke pás dauṛe áe, jo Sulaimán ká kahlátá hai. 12Patras ne yih dekhkar logoṉ se kahá; Ai Isráílío, is par tum kyúṉ taʻajjub karte ho, aur hameṉ kyúṉ is tarah dekh rahe ho, ki goyá ham ne apní qudrat yá díndárí se is shaḳhs ko chaltá phirtá kar diyá? 13Ibráhím aur Izháq aur Yaʻqúb ke Ḳhudá, yaʻní hamáre bápdádá ke Ḳhudá ne apne Ḳhádim Yisúʻ ko jalál diyá, jise tum ne pakaṛwá diyá, aur jab Pílátus ne us ke chhoṛ dene ká qasd kiyá, to tum ne us ke sámne us ká inkár kiyá. 14Tum ne us Quddús aur Rástbáz ká inkár kiyá, aur darḳhwást kí, ki ek ḳhúní tumhárí ḳhátir chhoṛá jáe; 15magar zindagí ke Málik ko qatl kiyá, jise Ḳhudá ne murdoṉ meṉ se jiláyá; is ke ham gawáh haiṉ. 16Usí ke nám ne, us ímán ke wasíle se jo us ke nám par hai, is shaḳhs ko mazbút kiyá, jise tum dekhte aur jánte ho; beshakk usí ímán ne jo us ke wasíle se hai, yíh kámil tandurustí tum sab ke sámne use dí. 17Aur ab, ai bháiyo, maiṉ jántá húṉ ki tum ne yih kám nádání se kiyá, aur aisá hí tumháre sardároṉ ne bhí. 18Magar jin bátoṉ kí Ḳhudá ne sab nabíoṉ kí zabání peshtar ḳhabar dí thí, ki us ká Masíh dukh uṭháegá, wuh us ne isí tarah púrí kíṉ. 19Pas tauba karo, aur rujúʻ láo, táki tumháre gunáh miṭáe jáeṉ, aur is tarah Ḳhudáwand ke huzúr se tázagí ke din áeṉ; 20aur wuh us Masíh ko, jo tumháre wáste muqarrar húá hai, yaʻní Yisúʻ ko, bheje. 21Zarúr hai ki wuh ásmán meṉ us waqt tak rahe, jab tak ki wuh sab chízeṉ bahál na kí jáeṉ, jin ká zikr Ḳhudá ne apne pák nabíoṉ kí zabání kiyá hai, jo dunyá ke shurúʻ se hote áe haiṉ. 22Chunáṉchí Músá ne kahá, ki Ḳhudáwand Ḳhudá tumháre bháiyoṉ meṉ se tumháre liye mujh sá ek nabí paidá karegá; jo kuchh wuh tum se kahe, us kí sunná. 23Aur yih hogá, ki jo shaḳhs us nabí kí na sunegá, wuh ummat meṉ se nest o nábúd kar diyá jáegá. 24Balki Samwíl se lekar pichhloṉ tak jitne nabíoṉ ne báteṉ kahíṉ, un sab ne in dinoṉ kí ḳhabar dí hai. 25Tum nabíoṉ kí aulád, aur us ʻahd ke sharík ho, jo Ḳhudá ne tumháre bápdádá se báṉdhá, jab Ibráhím se kahá, ki Terí aulád se dunyá ke sáre gharáne barakat páeṉge. 26Ḳhudá ne apne Ḳhádim ko uṭhákar pahle tumháre pás bhejá, táki tum meṉ se har ek ko us kí badíoṉ se pherkar barakat de.

Currently Selected:

Aʻmál 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in