Aʻmál 20
20
1Jab hullaṛ mauqúf ho gayá, to Paulus ne shágirdoṉ ko bulwákar nasíhat kí, aur un se ruḳhsat hokar Makiduniya ko rawána húá. 2Aur us ʻiláqe se guzarkar, aur unheṉ bahut nasíhat karke, Yúnán meṉ áyá. 3Jab tín mahíne rahkar Súriya kí taraf jaház par rawána hone ko thá, to Yahúdíoṉ ne us ke barḳhiláf sázish kí; phir us kí yih saláh húí, ki Makiduniya hokar wápas jáe. 4Aur Purrus ka beṭá Sopatrus jo Biríya ká thá; aur Thissaluníkíoṉ meṉ se Aristarḳhus, aur Sikundus; aur Gayus jo Dirbe ká thá, aur Tímuthiyus; aur Ásiya ká Tuḳhikus aur Trufimus, Ásiya tak us ke sáth sáth gaye. 5Yih áge jákar Troás meṉ hamárí ráh dekhte rahe. 6Aur ʻÍd i Fatír ke dinoṉ ke baʻd ham Filippí se jaház par rawána hokar, páṉch din ke baʻd Troás meṉ un ke pás pahuṉche; aur sát din wahíṉ rahe.
7Hafte ke pahle din, jab ham roṭí toṛne ke liye jamaʻ húe, to Paulus ne dúsre din rawána hone ká iráda karke un se báteṉ kíṉ, aur ádhí rát tak kalám kartá rahá. 8Jis bálákháne par ham jamaʻ the, us meṉ bahut se chirág jal rahe the. 9Aur Yútuḳhus nám ek jawán khiṛkí meṉ baiṭhá thá; us par niṉd ká baṛá galaba thá; aur jab Paulus ziyáda der tak báteṉ kartá rahá, to wuh níṉd ke galabe meṉ tísrí manzil se gir paṛá; aur uṭháyá gayá, to murda thá. 10Paulus utarkar us se lipaṭ gayá, aur gale lagákar kahá; Ghabráo nahíṉ; is meṉ ján hai. 11Phir úpar jákar roṭí toṛí, aur khákar itní der tak un se báteṉ kartá rahá, ki pau phaṭ gayí; phir wuh rawána ho gayá. 12Aur wuh us laṛke ko jítá láe, aur un kí baṛí ḳhátir jamaʻ húí.
13Ham jaház tak áge jákar, is iráde se Assus ko rawána húe, ki waháṉ pahuṉchkar Paulus ko chaṛhá leṉ; kyúṉki us ne paidal jáne ká iráda karke yihí tajwíz kí thí. 14Pas jab wuh Assus meṉ hameṉ milá, to ham use chaṛhákar Mitulene meṉ áe. 15Aur waháṉ se jaház par rawána hokar dúsre din Ḳhiyus ke sámne pahuṉche; aur tísre din Sámus tak áe aur agle din Míletus meṉ á gaye. 16Kyúṉki Paulus ne yih ṭhán liyá thá, ki Ifisus ke pás se guzre, aisá na ho ki use Ásiya meṉ der lage; is liye ki wuh jaldí kartá thá, ki agar ho sake, to use Pintekust ká din Yarúshalem meṉ ho.
17Aur us ne Míletus se Ifisus meṉ kahlá bhejá aur kalísiyá ke buzurgoṉ ko bulwáyá. 18Jab wuh us ke pás áe, to un se kahá;
Tum ḳhud jánte ho, ki pahle hí din se, ki maiṉ ne Ásiya meṉ qadam rakkhá har waqt tumháre sáth kis tarah rahá; 19yaʻní kamál firotaní se, aur áṉsú bahá bahákar, aur un ázmáishoṉ meṉ jo Yahúdíoṉ kí sázish ke sabab mujh par wáqiʻ húíṉ, Ḳhudáwand kí ḳhidmat kartá rahá. 20Aur jo jo báteṉ tumháre fáide kí thíṉ, un ke bayán karne, aur ʻalániya aur ghar ghar sikháne se kabhí na jhijhká; 21balki Yahúdíoṉ aur Yúnáníoṉ ke rúbarú gawáhí detá rahá, ki Ḳhudá ke sámne tauba karná, aur hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh par ímán láná cháhiye. 22Aur ab dekho, maiṉ rúh meṉ bandhá húá Yarúshalem ko játá húṉ, aur na maʻlúm ki waháṉ mujh par kyá kyá guzre: 23siwá is ke ki Rúhuʼl Quds har shahr meṉ gawáhí de dekar mujh se kahtá hai, ki qaid aur musíbateṉ tere liye taiyár haiṉ. 24Lekin maiṉ apní ján ko ʻazíz nahíṉ samajhtá ki us kí kuchh qadr karúṉ, bamuqábala is ke, ki apná daur, aur wuh ḳhidmat jo Ḳhudáwand Yisúʻ se páí hai, púrí karúṉ, yaʻní Ḳhudá ke fazl kí ḳhushḳhabarí kí gawáhí dúṉ. 25Aur ab dekho, maiṉ jántá húṉ ki tum sab, jin ke darmiyán maiṉ bádsháhat kí manádí kartá phirá, merá muṉh phir na dekhoge. 26Pas maiṉ áj ke din tumheṉ qataʻí kahtá húṉ, ki sab ke ḳhún se pák húṉ. 27Kyúṉki maiṉ Ḳhudá kí sárí marzí tum se púre táur par bayán karne se na jhijhká. 28Pas apní aur us sáre galle kí ḳhabardárí karo, jis ká Rúhuʼl Quds ne tumheṉ nigahbán ṭhahráyá, táki Ḳhudá kí kalísiyá kí gallabání karo, jise us ne ḳháss apne ḳhún se mol liyá. 29Maiṉ yih jántá húṉ, ki mere jáne ke baʻd pháṛnewále bheṛiye tum meṉ áeṉge, jinheṉ galle par kuchh tars na áegá; 30aur ḳhud tum meṉ se aise ádmí uṭheṉge, jo ulṭí ulṭi báteṉ kaheṉge, táki shágirdoṉ ko apní taraf kheṉch leṉ. 31Is liye jágte raho, aur yád rakkho, ki maiṉ tín baras tak rát din áṉsú bahá bahákar har ek ko samjháne se báz na áyá. 32Ab maiṉ tumheṉ Ḳhudá aur us ke fazl ke kalám ke supurd kartá húṉ, jo tumhárí taraqqí kar saktá hai, aur sáre muqaddasoṉ meṉ sharík karke mírás de saktá hai. 33Maiṉ ne kisí kí chándí, yá sone, yá kápṛe ḳá lálach nahíṉ kiyá. 34Tum áp jánte ho, ki inhíṉ háthoṉ ne merí aur mere sáthiyoṉ kí hájateṉ rafaʻ kíṉ. 35Maiṉ ne tum ko sab báteṉ karke dikhá díṉ, ki is tarah mihnat karke kamzoroṉ ko sambhálná, aur Ḳhudáwand Yisúʻ kí báteṉ yád rakhní cháhiyeṉ, ki us ne ḳhud kahá; Dená lene se mubárak hai.
36Us ne yih kahkar ghuṭne ṭeke, aur un sab ke sáth duʻá máṉgí. 37Aur wuh sab bahut roe, aur Paulus ke gale lag lagkar us ke bose liye; 38aur ḳhásskar is bát par gamgín the, jo us ne kahí thí, ki Tum merá muṉh phir na dekhoge. Phir use jaház tak pahuṉcháyá.
Currently Selected:
Aʻmál 20: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)