YouVersion Logo
Search Icon

2 Patras 3

3
1Ai ʻazízo, ab maiṉ tumheṉ yih dúsrá ḳhatt likhtá húṉ; aur yáddihání ke taur par donoṉ ḳhattoṉ se tumháre sáf diloṉ ko ubhártá húṉ; 2ki tum un bátoṉ ko jo pák nabíoṉ ne peshtar kahíṉ, aur Ḳhudáwand aur Munjí ke us hukm ko yád rakkho, jo tumháre rasúloṉ kí maʻrifat áyá thá: 3aur yih pahle ján lo, ki aḳhír dinoṉ meṉ aise haṉsí ṭhaṭṭhá karnewále áeṉge, jo apní ḳhwáhishoṉ ke muwáfiq chaleṉge, 4aur kaheṉge, ki Us ke áne ká waʻda kaháṉ gayá? kyúṉki jab se bápdádá soe haiṉ, us waqt se ab tak sab kuchh waisá hí hai, jaisá ḳhilqat ke shurúʻ se thá. 5Wuh to ján bújhkar yih bhúl gaye ki Ḳhudá ke kalám ke zaríʻe se ásmán qadím se maujúd haiṉ, aur zamín pání meṉ se baní, aur pání meṉ qáim hai; 6inhíṉ ke zaríʻe se us zamáne kí dunyá ḍúbkar halák húí. 7Magar is waqt ke ásmán aur zamín usí kalám ke zaríʻe se is liye rakkhe haiṉ ki jaláe jáeṉ, aur wuh bedín ádmíoṉ kí ʻadálat aur halákat ke din tak mahfúz raheṉge.
8Ai ʻazízo, yih ḳháss bát tum par poshída na rahe, ki Ḳhudáwand ke nazdík ek din hazár baras ke barábar hai, aur hazár baras ek din ke barábar. 9Ḳhudáwand apne waʻde meṉ der nahíṉ kartá, jaisí der baʻz log samajhte haiṉ; balki tumháre báre meṉ tahammul kartá hai, is liye ki kisí kí halákat nahíṉ cháhtá, balki yih cháhtá hai, ki sab kí tauba tak naubat pahuṉche. 10Lekin Ḳhudáwand ká din chor kí tarah á jáegá; us din ásmán baṛe shor gul ke sáth barbád ho jáeṉge, aur ʻanásir harárat kí shiddat se pighal jáeṉge, aur zamín aur us par ke kám jal jáeṉge. 11Jab yih sab chízeṉ is tarah pighalnewálí haiṉ, to tumheṉ pák chál chalan aur díndárí meṉ kaisá kuchh honá cháhiye, 12aur Ḳhudá ke us din ke áne ká kaisá kuchh muntazir aur mushtáq rahná cháhiye, jis ke báʻis ásmán ág se pighal jáeṉge, aur ʻanásir harárat kí shiddat se gal jáeṉge. 13Lekin us ke waʻde ke muwáfiq ham naye ásmán aur nayí zamín ká intizár karte haiṉ, jin meṉ rástbází basí rahegí.
14Pas, ai ʻazízo, chúṉki tum in bátoṉ ke muntazir ho, is liye us ke sámne itmínán kí hálat men bedág aur beʻaib nikalne kí koshish karo; 15aur hamáre Ḳhudáwand ke tahammul ko naját samjho; chunáṉchi hamáre piyáre bháí Paulus ne bhí us hikmat ke muwáfiq jo use ʻináyat húí, tumheṉ yihí likhá hai; 16aur apne sáre ḳhattoṉ meṉ in bátoṉ ká zikr kiyá hai; jin meṉ baʻz báteṉ aisí haiṉ, jin ká samajhná mushkil hai, aur jáhil aur beqiyám log un ke maʻnoṉ ko bhí, âur sahífoṉ kí tarah kheṉch tánkar, apne liye halákat paidá karte haiṉ. 17Pas, ai ʻazízo, chúṉki tum pahle se ágáh ho, is liye hoshyár raho, táki bedínoṉ kí gumráhí kí taraf khiṉchkar apní mazbútí ko chhoṛ na do; 18balki hamáre Ḳhudáwand aur Munjí Yisúʻ Masíh ke fazl aur pahchán meṉ baṛhte jáo. Usí kí tamjíd ab bhí ho, aur abad tak hotí rahe. Ámín.

Currently Selected:

2 Patras 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in