YouVersion Logo
Search Icon

Zakariyáh 9

9
1Baní Ádam aur ḳhusúsan kull qabáil i Isráíl kí áṉkheṉ Ḳhudáwand par lagí haiṉ; Ḳhudáwand kí taraf se sarzamín Hadrák aur Damishq ke ḳhiláf bár i nubuwwat: 2aur Hamát ke ḳhiláf jo un se muttasil hai; aur Súr o Saidá ke ḳhiláf, jo apní nazar meṉ bahut dánishmand haiṉ. 3Súr ne apne liye mazbút qil‘a banáyá, aur miṭṭí kí tarah chándí ke túde lagáe, aur galiyoṉ kí kích kí tarah sone ke ḍher. 4Dekho, Ḳhudáwand use ḳhárij kar degá, aur us ke faḳhr ko samundar meṉ ḍál degá; aur ág us ko khá jáegí. 5Asqalon dekhkar ḍar jáegá; G̣azzah bhí saḳht dard meṉ mubtalá hogá; ‘Aqrún bhí, kyúṉki us kí ás ṭúṭ gayí; aur G̣azzah se bádsháhí játí rahegí, aur Asqalon bechirág̣ ho jáegá. 6Aur ek ajnabízáda Ashdúd meṉ taḳhtnishín hogá; aur maiṉ Filistíoṉ ká faḳhr miṭáúṉgá. 7Aur maiṉ us ke ḳhún ko us ke muṉh se, aur us kí makrúhát us ke dáṉtoṉ se nikál ḍálúṉgá, aur wuh bhí hamáre Ḳhudá ke liye baqiya hogá, aur wuh Yahúdáh meṉ sardár hogá, aur ‘Aqrúní Yabúsíoṉ kí mánind hoṉge. 8Aur maiṉ muḳhálif i fauj ke muqábil apne ghar kí chároṉ taraf ḳhaimazan húṉgá, táki koí us meṉ se ámad o raft na kar sake; phir koí zálim un ke darmiyán se na guzregá; kyúṉki ab maiṉ ne apní áṉkhoṉ se dekh liyá hai.
9Ai bint i Siyyún, tú niháyat shádmán ho; ai duḳhtar i Yarúshalem, ḳhúb lalkár; kyúṉki dekh, terá bádsháh tere pás átá hai; wuh sádiq hai, aur naját us ke háth meṉ hai; wuh halím hai, aur gadhe par, balki jawán gadhe par sawár hai. 10Aur maiṉ Ifráím se rath aur Yarúshalem se ghoṛe káṭ ḍálúṉgá, aur jangí kamán toṛ ḍálí jáegí: aur wuh qaumoṉ ko sulh ká muzhda degá: aur us kí saltanat samundar se samundar tak, aur daryá e Furát se intihá e zamín tak hogí. 11Aur terí bábat yúṉ hai, ki tere ‘ahd ke ḳhún ke sabab se maiṉ tere asíroṉ ko andhe kúeṉ se nikál láyá. 12Ai ummedwár asíro, qil‘e meṉ wápas áo; maiṉ áj batátá húṉ, ki tum ko do chand ajr dúṉgá; 13kyúṉki maiṉ ne Yahúdáh ko kamán kí tarah jhukáyá, aur Ifráím ko tír kí tarah lagáyá: aur ai Siyyún, maiṉ tere farzandoṉ ko Yúnán ke farzandoṉ ke ḳhiláf barangeḳhta karúṉgá, aur tujhe pahlawán kí talwár kí mánind banáúṉgá. 14Aur Ḳhudáwand un ke úpar dikháí degá, aur us ke tír bijlí kí tarah nikleṉge; háṉ, Ḳhudáwand Ḳhudá narsingá phúṉkegá, aur junúbí bagoloṉ ke sáth ḳhurúj karegá. 15Aur Rabb u’l afwáj un kí himáyat karegá; aur wuh dushmanoṉ ko nigleṉge, aur faláḳhun ke pattharoṉ ko páemál kareṉge, aur píkar matwáloṉ kí mánind shor macháeṉge: aur kaṭoroṉ aur mazbah ke konoṉ kí mánind ma‘múr hoṉge. 16Aur Ḳhudáwand un ká Ḳhudá us roz un ko apní bheṛoṉ kí tarah bachá legá; kyúṉki wuh táj ke jawáhir kí mánind hoṉge jo us ke mulk meṉ sarfaráz hoṉge. 17Kyúṉki un kí ḳhushhálí ‘azím aur un ká jamál khúb hai: naujawán galle se baṛheṉge, aur laṛkiyáṉ nayí mai se nashw o namá páeṉgí.

Currently Selected:

Zakariyáh 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in