YouVersion Logo
Search Icon

Matí 2

2
1Jab Yisúʻ Herodes bádsháh ke zamáne meṉ Yahúdiya ke Baitlahm meṉ paidá húá, to dekho, kai Majúsi púrab se Yarúshalem meṉ yih kahte húe áe, ki 2Yahúdíoṉ ká bádsháh jo paidá húá hai, wuh kaháṉ hai? kyúṉki púrab meṉ us ká sitára dekhkar, ham use sijda karne áe haiṉ. 3Yih sunkar Herodes bádsháh, aur us ke sáth Yarúshalem ke sab log ghabrá gaye. 4Aur us ne qaum ke sab sardár káhinoṉ aur faqíhoṉ ko jamaʻ karke un se púchhá, ki Masíh kí paidáish kaháṉ honí cháhiye? 5Unhoṉ ne us se kahá, ki Yahúdiya ke Baitlahm meṉ; kyúṉki nabí kí maʻrifat yúṉ likhá gayá hai, ki
6Ai Baitlahm, Yahúdáh ke ʻiláqe,
Tú Yahúdáh ke hákimoṉ meṉ hargiz sab se chhoṭá nahíṉ;
Kyúṉki tujh meṉ se ek sardár niklegá,
Jo merí ummat Isráíl ki gallabání karegá.
7Is par Herodes ne Majúsíoṉ ko chupke se bulákar un se tahqíq kiyá, ki wuh sitára kis waqt dikháíi diyá thá; 8aur yih kahkar unheṉ Baitlahm ko bhejá, ki Jákar us bachche kí bábat ṭhík ṭhík daryáft karo, aur jab wuh mile, to mujhe ḳhabar do, táki maiṉ bhí ákar use sijda karúṉ. 9Wuh bádsháh kí bát sunkar rawána húe, aur dekho, jo sitára unhoṉ ne púrab meṉ dekhá thá, wuh un ke áge áge chalá, yaháṉ tak ki us jagah ke úpar jákar ṭhahr gayá, jaháṉ wuh bachcha thá. 10Wuh sitáre ko dekhkar niháyat hí ḳhush húe. 11Aur us ghar meṉ pahuṉchkar, bachche ko us kí máṉ Maryam ke pás dekhá, aur us ke áge girkar sijda kiyá; aur apne dibbe kholkar soná aur lubán aur murr us ko nazr kiyá. 12Aur Herodes ke pás phir na jáne kí hidáyat ḳhwáb meṉ pákar, dúsrí ráh se apne mulk ko rawána húe.
13Jab wuh rawána ho gaye, to dekho, Ḳhudáwand ke firishte ne Yúsuf ko ḳhwáb meṉ dikháí dekar kahá, ki Uṭh, bachche aur us kí máṉ ko sáth lekar Misr ko bhág já; aur jab tak ki maiṉ tujh se na kahúṉ, wahíṉ rahná, kyúṉki Herodes is bachche ko talásh karne ko hai táki use halák kare. 14Pas wuh uṭhá, aur rát ke waqt bachche aur us kí máṉ ko sáth lekar, Misr ko rawána ho gayá; 15aur Herodes ke marne tak wahíṉ rahá; táki jo Ḳhudáwand ne nabí kí maʻrifat kahá thá, wuh púrá ho, kí Misr meṉ se maiṉ ne apne beṭe ko buláyá. 16Jab Herodes ne dekhá, ki Majúsíoṉ ne mere sáth haṉsí kí#2:16 haṉsí kí Dhoka de jana. Hath kar jana. Sanjeedgi se na lena., to niháyat gusse húá, aur ádmí bhejkar Baitlahm aur us kí sárí sarhaddoṉ ke andar ke un sab laṛkoṉ ko qatl karwá díyá, jo do do baras ke yá is se chhoṭe the, us waqt ke hisáb se jo us ne Majúsíoṉ se tahqíq kiyá thá. 17Us waqt wuh bát púrí húí, jo Yirmayáh nabí kí maʻrifat kahí gayí thí, ki
18Rámáh meṉ áwáz sunáí dí,
Roná aur baṛá mátam,
Ráhel apne bachchoṉ ko ro rahí hai,
Aur tasallí qubúl nahíṉ kartí, is liye ki wuh haiṉ nahíṉ.
19Jab Herodes mar gayá, to dekho, Ḳhudáwand ke firishte ne Misr meṉ Yúsuf ko ḳhwáb meṉ dikháí dekar kahá; ki 20Uṭh, is bachche aur is kí máṉ ko lekar Isráíl ke mulk meṉ chalá já, kyúṉki jo bachche kí ján ke ḳhwáháṉ the, wuh mar gaye. 21Pas wuh uṭhá, aur bachche aur us kí máṉ ko sáth lekar, Isráíl ke mulk meṉ á gayá. 22Magar jab suná, ki Arḳhiláus apne báp Herodes kí jagah Yahúdiya meṉ bádsháhi kartá hai, to waháṉ jáne se dará; aur ḳhwáb meṉ hidáyat pákar Galíl ke ʻiláqe ko rawána ho gayá; 23aur Násarat nám ek shahr meṉ ja basá; táki jo nabíoṉ kí maʻrífat kahá gayá thá púrá ho, kí wuh Násarí kahláegá.

Currently Selected:

Matí 2: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

YouVersion uses cookies to personalize your experience. By using our website, you accept our use of cookies as described in our Privacy Policy