Lekin sāt sāl guzarne ke bād maiṅ, Nabūkadnazzar apnī āṅkhoṅ ko āsmān kī taraf uṭhā kar dubārā hosh meṅ āyā. Tab maiṅ ne Allāh T'ālā kī tamjīd kī, maiṅ ne us kī hamd-o-sanā kī jo hameshā tak zindā hai. Us kī hukūmat abadī hai, us kī saltanat nasl-dar-nasl qāym rahtī hai.