YouVersion Logo
Search Icon

Malákí 3

3
1Dekho, maiṉ apne rasúl ko bhejúṉgá, aur wuh mere áge ráh durust karegá, aur Ḳhudáwand, jis ke tum tálib ho, nágahán apní haikal meṉ á maujúd hogá; háṉ, ‘ahd ká rasúl, jis ke tum muntazir ho, áegá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 2Par us ke áne ke din kí kis meṉ táb hai? Aur jab us ká zuhúr hogá, to kaun khaṛá rah sakegá? Kyúṉki wuh sunár ki ág aur dhobí ke sabún kí mánind hai; 3aur wuh chándí ko táne aur sáf karnewále ki mánind baiṭhegá, aur baní Láwí ko sone aur chándí ki mánind sáf karegá, táki wuh rástbází se Ḳhudáwand ke huzúr hadye guzráneṉ. 4Tab Yahúdáh aur Yarúshalem ká hadya Ḳhudáwand ko pasand áegá, jaisá aiyám i qadím aur guzashta zamáne meṉ. 5Aur maiṉ ‘adálat ke liye tumháre nazdík áúṉgá, aur jádúgaroṉ, aur badkároṉ, aur jhúṭhí qasam khánewáloṉ ke ḳhiláf, aur un ke ḳhiláf bhí, jo mazdúroṉ ko mazdúrí nahíṉ dete, aur bewáoṉ, aur yatímoṉ par sitam karte, aur musáfiroṉ ki haqqtalafí karte, haiṉ, aur mujh se nahíṉ ḍarte, musta‘id gawáh húṉgá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 6Kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand látabdíl húṉ, isí liye, ai baní Ya‘qúb, tum nest nahíṉ húe.
7Tum apne bápdádá ke aiyám se mere áín se munharif rahe, aur un ko nahíṉ máná. Tum merí taraf rujú‘ ho, to maiṉ tumhárí taraf rujú‘ húṉgá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. Lekin tum kahte ho, ki Ham kis bát meṉ rujú‘ hoṉ? 8Kyá koí ádmí Khudá ko ṭhagegá? Par tum mujh ko ṭhagte ho, aur kahte ho, Ham ne kis bát meṉ tujhe ṭhagá? Dahyakí aur hadye meṉ. 9Pas tum sakht mal‘ún húe, kyúṉki tum ne balki tamám qaum ne mujhe ṭhagá. 10Púrí dahyakí zaḳhíraḳháne meṉ láo, táki mere ghar meṉ ḳhurák ho, aur isí se merá imtihán karo, Rabb u’l afwáj farmátá ja hai, ki maiṉ tum par ásmán ke daríchoṉ ko kholkar barakat barsátá húṉ, ki nahíṉ, yaháṉ tak ki tumháre pás us ke liye jagah na rahe. 11Aur maiṉ, tumhárí ḳhátir ṭiḍḍí ko ḍáṉṭúṉgá, aur wuh tumhárí zamín ke hásil ko barbád na karegí, aur tumháre tákistánoṉ ká phal kachchá na jhaṛ jáegá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 12Aur sab qaumeṉ tum ko mubárak kaheṉgí, kyúṉki tum dilkushá mamlukat hoge, Rabb u’l afwáj farmátá hai.
13 Ḳhudáwand farmátá hai, Tumhárí báteṉ mere ḳhiláf bahut saḳht haiṉ. Taubhí tum kahte ho, Ham ne terí muḳhálafat meṉ kyá kahá? 14Tum ne to kahá, Ḳhudá ki ‘ibádat karná ‘abas hai: Rabb u’l afwáj ke ahkám par ‘amal karná, aur us ke huzúr mátam karná láhásil hai. 15Aur ab ham mag̣rúroṉ ko nekbaḳht kahte haiṉ; sharír baromand hote haiṉ, aur Ḳhudá ko ázmáne par bhí riháí páte haiṉ. 16Tab ḳhudátarsoṉ ne ápas meṉ guftogú ki, aur Ḳhudáwand ne mutawajjih hokar suná, aur un ke liye, jo Ḳhudáwand ne se ḍarte aur us ke nám ko yád karte the, us ke huzúr yádgár ká daftar likhá gayá. 17Rabb u’l afwáj farmátá hai, Us roz wuh mere log balki merí ḳháss milkíyat hoṉge, aur maiṉ un par aisá rahím húṉgá, jaisá báp apne ḳhidmatguzár bete par hotá hai. 18Tab tum rujú‘ láoge, aur sádiq aur sharír meṉ, aur Ḳhudá ki ‘ibádat karnewále aur na karnewále meṉ imtiyáz karoge.

Currently Selected:

Malákí 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

YouVersion uses cookies to personalize your experience. By using our website, you accept our use of cookies as described in our Privacy Policy