YouVersion Logo
Search Icon

Malákí 2

2
1Aur ab, ai káhino, tumháre liye yih hukm hai. 2Rabb u’l afwaj farmátá hai, Agar tum shanawá na hoge, aur mere nám ki tamjíd ko madd i nazar na rakkhoge, to maiṉ tum ko, aur tumhárí ni‘matoṉ ko mal‘ún karúṉgá, balki is liye ki tum ne use madd i nazar na rakkhá, maiṉ mal‘ún kar chuká húṉ. 3Dekho, maiṉ tumháre bázú bekár kar dúṉgá, aur tumháre muṉh par najásat, ya‘ní tumhárí qurbáníoṉ kí najásat pheṉkúṉgá, aur tum usí ke sáth pheṉk diye jáoge. 4Aur tum ján loge ki maiṉ ne tum ko yih hukm is liye diyá hai ki merá ‘ahd Láwí ke sáth qáim rahe, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 5Us ke sáth merá ‘ahd zindagí aur salámatí ká thá, aur maiṉ ne use zindagí aur salámatí is liye baḳhshí, ki wuh ḍartá rahe; chunáṉchi wuh mujh se ḍará, aur mere nám se tarsán rahá. 6Sachcháí kí sharí‘at us ke muṉh meṉ thí, aur us ke laboṉ par nárástí na páí gayí: wuh mere huzúr salámatí aur rásti se chaltá rahá, aur wuh bahutoṉ ko badí kí ráh se wápas láyá. 7Kyúṉki lázim hai, ki káhin ke lab ma‘rifat ko mahfúz rakkheṉ; aur log us ke muṉh se shara‘í masáil púchheṉ; kyúṉki wuh Rabb u’l afwáj ká rasúl hai. 8Par tum ráh se munharif ho gaye, tum sharí‘at meṉ bahutoṉ ke liye ṭhokar ká bá‘is húe; tum ne Láwí ke ‘ahd ko ḳharáb kiyá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 9Pas maiṉ ne tum ko sab logoṉ kí nazar meṉ zalíl aur haqír kiyá, kyúṉki tum merí ráhoṉ par qáim na rahe, balki tum ne shara‘í mu‘ámalát meṉ rúdárí kí.
10Kyá ham sab ká ek hí báp nahíṉ? kyá ek hí Ḳhudá ne ham sab ko paidá nahíṉ kiyá? phir kyúṉ ham apne bháiyoṉ se bewafáí karke, apne bápdádá ke ‘ahd ki behurmatí karte haiṉ: 11Yahúdáh ne bewafáí kí, Isráíl aur Yarúshalem meṉ makrúh kám húá hai; Yahúdáh ne Ḳhudáwand ki qudsíyat ko, jo us ko ‘aziz thí, behurmat kiyá, aur ek g̣airma‘búd ki beṭí biyáh láyá. 12Ḳhudáwand aisá karnewále se zinda aur jawábdahinda, aur Rabb u’l afwáj ke huzúr qurbání guzránnewále Ya‘qúb ke ḳhaimoṉ se munqata’ kar degá. 13Phir tumháre a‘mál ke sabab se Ḳhudáwand ke mazbah par áh o nála, aur áṉsúoṉ ki aisí kasrat hai, ki wuh na tumháre hadye ko dekhegá, aur na tumháre háth kí nazr ko ḳhushí se qubúl karegá. 14Taubhí tum kahte ho, ki Sabab kyá hai? Sabab yih hai, ki Ḳhudáwand tere aur terí jawání kí bíwí ke darmiyán gawáh hai; tú ne us se bewafáí kí hai, agarchi wuh terí rafíq aur mankúha bíwí hai. 15Aur kyá us ne ek hí ko paidá nahíṉ kiyá, báwujúde ki us ke pás âur arwáh maujúd thíṉ? Phir kyúṉ ek hí ko paidá kiyá? Is liye ki ḳhudátars nasl paidá ho. Pas tum apne nafs se ḳhabardár raho, aur koí apní jawání kí bíwí se bewafáí na kare. 16Kyúṉki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá farmátá hai, Maiṉ taláq se bezár húṉ, aur us se bhí jo apní bíwí par zulm kartá hai: is liye tum apne nafs se ḳhabardár raho, táki bewafáí na karo.
17Tum ne apní bátoṉ se Ḳhudáwand ko bezár kar diyá. Taubhí tum kahte ho, Kis bát meṉ ham ne use bezár kiyá? Isi meṉ jo kahte ho, ki Har shaḳhs jo buráí kartá hai Ḳhudáwand ki nazar meṉ nek hai, aur wuh us se ḳhush hai, aur yih, ki ‘adl ká Ḳhudá kaháṉ hai?

Currently Selected:

Malákí 2: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

YouVersion uses cookies to personalize your experience. By using our website, you accept our use of cookies as described in our Privacy Policy