1
Marqus 2:17
Kitab-i Muqaddas
GVR
Yih sun kar Īsā ne jawāb diyā, “Sehhatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. Maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ.”
तुलना
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:17
2
Marqus 2:5
Jab Īsā ne un kā īmān dekhā to us ne maflūj se kahā, “Beṭā, tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.”
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:5
3
Marqus 2:27
Phir us ne kahā, “Insān ko Sabat ke din ke lie nahīṅ banāyā gayā balki Sabat kā din insān ke lie.
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:27
4
Marqus 2:4
Magar wuh use hujūm kī wajah se Īsā tak na pahuṅchā sake, is lie unhoṅ ne chhat khol dī. Īsā ke ūpar kā hissā udheṛ kar unhoṅ ne chārpāī ko jis par maflūj leṭā thā utār diyā.
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:4
5
Marqus 2:10-11
Lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki Ibn-e-Ādam ko wāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḳhtiyār hai.” Yih kah kar wuh maflūj se muḳhātib huā, “Maiṅ tujh se kahtā hūṅ ki uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar ghar chalā jā.”
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:10-11
6
Marqus 2:9
Kyā maflūj se yih kahnā āsān hai ki ‘Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yih ki ‘Uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar chal-phir’?
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:9
7
Marqus 2:12
Wuh ādmī khaṛā huā aur fauran apnī chārpāī uṭhā kar un ke deḳhte deḳhte chalā gayā. Sab saḳht hairatzadā hue aur Allāh kī tamjīd karke kahne lage, “Aisā kām ham ne kabhī nahīṅ dekhā!”
अन्वेषण गर्नुहोस् Marqus 2:12