1 Kurinthiyoṅ 13

13
Muhabbat
1Agar maiṅ insānoṅ aur farishtoṅ kī zabāneṅ bolūṅ, lekin muhabbat na rakhūṅ to phir maiṅ bas gūṅjtā huā ghaṛiyāl yā ṭanṭanātī huī jhāṅjh hī hūṅ. 2Agar merī nabuwwat kī nemat ho aur mujhe tamām bhedoṅ aur har ilm se wāqifiyat ho, sāth hī merā aisā īmān ho ki pahāṛoṅ ko khiskā sakūṅ, lekin merā dil muhabbat se ḳhālī ho to maiṅ kuchh bhī nahīṅ. 3Agar maiṅ apnā sārā māl ġharīboṅ meṅ taqsīm kar dūṅ balki apnā badan jalāe jāne ke lie de dūṅ, lekin merā dil muhabbat se ḳhālī ho to mujhe kuchh fāydā nahīṅ. 4Muhabbat sabar se kām letī hai, muhabbat mehrbān hai. Na yih hasad kartī hai na ḍīṅgeṅ mārtī hai. Yih phūltī bhī nahīṅ.
5Muhabbat badtamīzī nahīṅ kartī na apne hī fāyde kī talāsh meṅ rahtī hai. Yih jaldī se ġhusse meṅ nahīṅ ā jātī aur dūsroṅ kī ġhaltiyoṅ kā rikārḍ nahīṅ rakhtī. 6Yih nāinsāfī dekh kar ḳhush nahīṅ hotī balki sachchāī ke ġhālib āne par hī ḳhushī manātī hai. 7Yih hameshā dūsroṅ kī kamzoriyāṅ bardāsht kartī hai, hameshā etamād kartī hai, hameshā ummīd rakhtī hai, hameshā sābitqadam rahtī hai.
8Muhabbat kabhī ḳhatm nahīṅ hotī. Is ke muqābale meṅ nabuwwateṅ ḳhatm ho jāeṅgī, ġhairzabāneṅ jātī raheṅgī, ilm miṭ jāegā. 9Kyoṅki is waqt hamārā ilm nāmukammal hai aur hamārī nabuwwat sab kuchh zāhir nahīṅ kartī. 10Lekin jab wuh kuchh āegā jo kāmil hai to yih adhūrī chīzeṅ jātī raheṅgī. 11Jab maiṅ bachchā thā to bachche kī tarah boltā, bachche kī-sī soch rakhtā aur bachche kī-sī samajh se kām letā thā. Lekin ab maiṅ bāliġh hūṅ, is lie maiṅ ne bachche kā-sā andāz chhoṛ diyā hai. 12Is waqt hameṅ āīne meṅ dhundlā-sā dikhāī detā hai, lekin us waqt ham rūbarū dekheṅge. Ab maiṅ juzwī taur par jāntā hūṅ, lekin us waqt kāmil taur se jān lūṅgā, aise hī jaise Allāh ne mujhe pahle se jān liyā hai.
13Ġharz īmān, ummīd aur muhabbat tīnoṅ qāym rahte haiṅ, lekin in meṅ afzal muhabbat hai.

දැනට තෝරාගෙන ඇත:

1 Kurinthiyoṅ 13: GVR

සළකුණු කරන්න

පිටපත් කරන්න

සසඳන්න

බෙදාගන්න

None

ඔබගේ සියලු උපාංග හරහා ඔබගේ සළකුණු කල පද වෙත ප්‍රවේශ වීමට අවශ්‍යද? ලියාපදිංචි වී නව ගිණුමක් සාදන්න හෝ ඔබගේ ගිණුමට ඔබගේ ගිණුමට පිවිසෙන්න