1
Romiyoṅ 7:25
Kitab-i Muqaddas
GVR
Ḳhudā kā shukr hai jo hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke wasīle se yih kām kartā hai. Ġharz yihī merī hālat hai, Masīh ke baġhair maiṅ Allāh kī sharīat kī ḳhidmat sirf apnī samajh se kar saktā hūṅ jabki merī purānī fitrat gunāh kī sharīat kī ġhulām rah kar usī kī ḳhidmat kartī hai.
සසඳන්න
Romiyoṅ 7:25 ගවේෂණය කරන්න
2
Romiyoṅ 7:18
Mujhe mālūm hai ki mere andar yānī merī purānī fitrat meṅ koī achchhī chīz nahīṅ bastī. Agarche mujh meṅ nek kām karne kā irādā to maujūd hai lekin maiṅ use amlī jāmā nahīṅ pahnā saktā.
Romiyoṅ 7:18 ගවේෂණය කරන්න
3
Romiyoṅ 7:19
Jo nek kām maiṅ karnā chāhtā hūṅ wuh nahīṅ kartā balki wuh burā kām kartā hūṅ jo karnā nahīṅ chāhtā.
Romiyoṅ 7:19 ගවේෂණය කරන්න
4
Romiyoṅ 7:20
Ab agar maiṅ wuh kām kartā hūṅ jo maiṅ nahīṅ karnā chāhtā to is kā matlab hai ki maiṅ ḳhud nahīṅ kar rahā balki wuh gunāh jo mere andar bastā hai.
Romiyoṅ 7:20 ගවේෂණය කරන්න
5
Romiyoṅ 7:21-22
Chunāṅche mujhe ek aur tarah kī sharīat kām kartī huī nazar ātī hai, aur wuh yih hai ki jab maiṅ nek kām karne kā irādā rakhtā hūṅ to burāī ā maujūd hotī hai. Hāṅ, apne bātin meṅ to maiṅ ḳhushī se Allāh kī sharīat ko māntā hūṅ.
Romiyoṅ 7:21-22 ගවේෂණය කරන්න
6
Romiyoṅ 7:16
Lekin agar maiṅ wuh kartā hūṅ jo nahīṅ karnā chāhtā to zāhir hai ki maiṅ muttafiq hūṅ ki sharīat achchhī hai.
Romiyoṅ 7:16 ගවේෂණය කරන්න