1
Romiyoṅ 2:3-4
Kitab-i Muqaddas
GVR
Tāham tū wuhī kuchh kartā hai jis meṅ tū dūsroṅ ko mujrim ṭhahrātā hai. Kyā tū samajhtā hai ki ḳhud Allāh kī adālat se bach jāegā? Yā kyā tū us kī wasī mehrbānī, tahammul aur sabar ko haqīr jāntā hai? Kyā tujhe mālūm nahīṅ ki Allāh kī mehrbānī tujhe taubā tak le jānā chāhtī hai?
සසඳන්න
Romiyoṅ 2:3-4 ගවේෂණය කරන්න
2
Romiyoṅ 2:1
Ai insān, kyā tū dūsroṅ ko mujrim ṭhahrātā hai? Tū jo koī bhī ho terā koī uzr nahīṅ. Kyoṅki tū ḳhud bhī wuhī kuchh kartā hai jis meṅ tū dūsroṅ ko mujrim ṭhahrātā hai aur yoṅ apne āp ko bhī mujrim qarār detā hai.
Romiyoṅ 2:1 ගවේෂණය කරන්න
3
Romiyoṅ 2:11
Kyoṅki Allāh kisī kā bhī tarafdār nahīṅ.
Romiyoṅ 2:11 ගවේෂණය කරන්න
4
Romiyoṅ 2:13
Kyoṅki Allāh ke nazdīk yih kāfī nahīṅ ki ham sharīat kī bāteṅ suneṅ balki wuh hameṅ us waqt hī rāstbāz qarār detā hai jab sharīat par amal bhī karte haiṅ.
Romiyoṅ 2:13 ගවේෂණය කරන්න
5
Romiyoṅ 2:6
Allāh har ek ko us ke kāmoṅ kā badlā degā.
Romiyoṅ 2:6 ගවේෂණය කරන්න
6
Romiyoṅ 2:8
Lekin kuchh log ḳhudġharz haiṅ aur sachchāī kī nahīṅ balki nārāstī kī pairawī karte haiṅ. Un par Allāh kā ġhazab aur qahr nāzil hogā.
Romiyoṅ 2:8 ගවේෂණය කරන්න
7
Romiyoṅ 2:5
Lekin tū haṭdharm hai, tū taubā karne ke lie taiyār nahīṅ aur yoṅ apnī sazā meṅ izāfā kartā jā rahā hai, wuh sazā jo us din dī jāegī jab Allāh kā ġhazab nāzil hogā, jab us kī rāst adālat zāhir hogī.
Romiyoṅ 2:5 ගවේෂණය කරන්න