1
Mattī 27:46
Kitab-i Muqaddas
GVR
Phir tīn baje Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Elī, Elī, lamā shabaqtanī” jis kā matlab hai, “Ai mere Ḳhudā, ai mere Ḳhudā, tū ne mujhe kyoṅ tark kar diyā hai?”
तुलना
अन्वेषण गर्नुहोस् Mattī 27:46
2
Mattī 27:51-52
Usī waqt Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. Zalzalā āyā, chaṭṭāneṅ phaṭ gaīṅ aur qabreṅ khul gaīṅ. Kaī marhūm muqaddasīn ke jismoṅ ko zindā kar diyā gayā.
अन्वेषण गर्नुहोस् Mattī 27:51-52
3
Mattī 27:50
Lekin Īsā ne dubārā baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.
अन्वेषण गर्नुहोस् Mattī 27:50
4
Mattī 27:54
Jab pās khaṛe Romī afsar aur Īsā kī pahrādārī karne wāle faujiyoṅ ne zalzalā aur yih tamām wāqiyāt dekhe to wuh nihāyat dahshatzadā ho gae. Unhoṅ ne kahā, “Yih wāqaī Allāh kā Farzand thā.”
अन्वेषण गर्नुहोस् Mattī 27:54
5
Mattī 27:45
Dopahar bārah baje pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. Yih tārīkī tīn ghanṭoṅ tak rahī.
अन्वेषण गर्नुहोस् Mattī 27:45
6
Mattī 27:22-23
Pīlātus ne pūchhā, “Phir maiṅ Īsā ke sāth kyā karūṅ jo Masīh kahlātā hai?” Wuh chīḳhe, “Use maslūb kareṅ.” Pīlātus ne pūchhā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai?” Lekin log mazīd shor machā kar chīḳhte rahe, “Use maslūb kareṅ!”
अन्वेषण गर्नुहोस् Mattī 27:22-23